Thursday 3 November 2011

mujhe pata hai ki tum isko open nai karoge ... phir bhi mere b.tech ke 3 saal ...

yaar mene 12th tak kuch kaam nai kara , siway khelne and chote-chote bacchon ko marne ke , aaj sochta hun ki mein kiss type ka tha yaar  , par kya karu mein tha hi churan type ka insaan ... "sach kahu tho yeh samajhlo ki mein ek jungliee tha ". 

mein 12th mein 72.4 % pake yeh sochne laga ki mene sara sansaar jeet liya ... churan pandi sali , socha aab tho aasaan hai life , AIEEE ka paper diya tho yaaar 5205 rank aayi , ghar wale aa gaye tension mein par mein tha kush ki itni rank aaa kaise gayi ,

who tho accha tha ki chairman sir ne university bana di and mujhe mil gaya admission warna yaar mein kahin almora mein hi dukhan kholke baitha hota yaa hotel mein kaam kar raha hota . aab hua kya ki ek  jungliee type ka insaan aa raha tha b.tech ke liye try marne ...

mene jis din graphic mein kadam rakha tho , sai mein B.tech block dekh-ke maja hi aa gaya yaar , and kaha yaar khuda bas ek baaar andar aa jaun iss clg ke life settel ho jayegi , and khuda ki dua se admission mil gaya yaar .

so 1st sem mein jab mein aaya , mene ladkiyaan dekhi college mein mein chonk gaya yaar , kyonki yaar 12th tho ladkiyoon se deal tak hi nai kari thi , pata bhi nai tha ki ladki chiz kya hoti hai , bachpan mein tho mein ladkiyooon ko peet diya karta tha , clg aaya tho dekha har ladki ek ladke ke sath ... ajeeb type ka feel hua yaar , sai baat hai yaaar , aisa hona ho tha yaaar . and mein B.tech ko lene laga maje mein and last mein aa gayi 57.3 % 3rd lowest inn pure B.tech 1st year batch mein. bade bhai ne mere se kaha ki B.tech karne wala sabse bada chutiya hai , uss din bura lag gaya yaar .

2nd year mein aaya tho chairman sir ko dekha unki knowledge se maja aa gaya yaar , gajab concept clear unke , sai mein sochne laga ki mein bhi iss type ka ban jaataa bhagwaan tho life mast ho jati yaar , sabse gajab baat naye naye dost bane uss time mein I.t branch wale , and bahut jano ke muuh se suna pandey churan hai yaar koi sardaar kehta koi kuch koi kuch , sai baat bhi hai yaar , lekin kaise hota advancement sala B.tech 2nd year mein tho aake pehli blue-film dekhi ( B.F) and pehli baar pata chala ki iss type ki bhi chizen hoti hain . advancement tho door yeh bhi nai pata tha ki intenet kis type ka hota hai yaar ... use hi nai kara tha aaj tak ,  lekin yaaar mast chiz yeh thi ki 3-4 aise logon ke bare mein jana jo katai phaad hai ... sati ( solid dimag ekdum) , vinay ho gaya ( genius ), chauhan ho gaya ( vikat yaar ekdum ) , baajpur ( fadu insaan ekdum ) ho gaya , kamal ( bhai confidence se bhara ekdum + isse tagdi mehnat karne wala insaan nai dekha mene) , and shwetha hai ek class mein bhai uske dimaag + samajh + c ki programming + concept ka fan hun yaar ekdum .

3rd year mein aaaya tho life ekdum sai chal rai thi , and yaar katil scene tho yeh hua ki ek ladki pasand aa gayi yaar and uske baad life thodi ho gayi tough type ki , gajab phat-ti hai yaar usko dekh-ke , naaam tho bata deta uska , lekin yaaar mein tho hun badnaam insaan and mein kisi aur ka naam badnaam nai hone dena chata yaar , and fact tho yeh hai ki naaam type karne mein bhi phat ke hath mein aa jati hai yaar.  badi gajab-gajab type ki dhakkan pandi kara karta tha mein yaaar , but maja aata hai aaj wo churan pandi yaad karke . placement pana jyada aasaan hua yaar , lekin usse baaat karna tho door baat karne ki sochna bhi kahi tough hua yaar placement se. and sabse gajab baat tho yeh jana ki ladki chiz kya hoti hai uski ijaat kaise kari jati hai , chahe wo apki behan ho ya dost ya mammi ... so 3rd year is dedicated to , ladki chiz ko janne ke liye  .

ab and aaj mein hun 4rth year mein ... manta bhi hun ki mein ek hila hua - halkat type ka , thoda pagal type ka , inssaan hun but yaar ... but yaar yeh harkatein iss liy karta hun meri wajah se agar samne wala has jaye tho dil kush ho jata hai yaar , life mein dusrroon ko hasane mein jo maja hai wo katai mast chiz hai yaar . so kabhi kisi ko pagal / churan type / sardar kehne se pehle yeh sochoo ki yaar wo acche se doston ki pyari si hasi pane ke liye churan / sardar / dhakkan pandi karta hai yaar .. but tum nai samjhoge iss maaje ko ...



No comments: